Sunday, November 8, 2009

HI5 from JON ELIA

Remembering Jon Elia-
A Perfect Stranger & a giant amongst his contemporaries
on his 7th death Anniversary- November 2009

Mahtab Bashir
03335363248



Tum jab ao gi to khoya hua pao gi mujhay
Meri tanhai mein khwaboon kay siwa kuch bhi nahi
Meray kamray ko sajaanay ki tamanna hay tumhay
Meray kamray may kitabo kay siwa kuch bhi nahi.

In kitabo nay bara zulm kia hay mujh par
In may ik ramz hay, jis ramz ka maara hua zehn

Mushda-e-ishrat-e-anjaam nahi paa sakta
Zindagi may kabhi araam nahi paa sakta.


BE-ASBAAT
Kis ko fursat, kay mujhsay behas karay
Aor sabit karay kay mera wujood
Zindagi kayliye zaroori hay.


Saari dunia kay gham hamaaray hein
Aor sitam ye ky hum tumhaaray hein

Dil-e-barbaad ye kheyaal rahay
Uss nay gesoo nahi sanwarein hein

Un rafeeqon sy sharam ati hay
Jo mera saath dey kay haaray hein


Aor to humnay kia kiya abtak
Ye kiya hay kay din guzarein hein

Uss gali sy jo ho kay aay ho
Ab to wo rahrao bhi piyaary hein

Jon jum zindagi ki rahon mein
Aapni tanha rawi ky maaray hein.


Kaon sood-o-ziyaan ki dunia mein
Dard-e-ghurbat ka saath deta hay
Jab mukabil hon ishq aor daolat
Husn daolat ka saath deta hay.



Umr guzray gi imtihaan mein kia
Daagh hi dein gi mujhko daan mein kia

Meri har baat be-asar hi rahi
Nuqs hay kuch meray bayaan mein kia


Mujhko to koi tokta bhi nahi
Yahi hota hay khandaan mein kia

Apni mehroomiyan choopatay hein
Hum ghareebon ki aanbaan mein kia


Khud ko jana juda zamaanay say
Aa gia tha meray gumaan mein kia

Shaam hi sy dukaan-e-deed hy bandd
Nahein nuqsaan tak dukaan mein kia


Aye meray subh-o-shaam-e-dil ki shafaq
Tu nahaati hay abb bhi baan mein kia

Boltay kion nahi meray haq mein
Aablay par gay zubaan mein kia.

Khamoshi keh rahi hay kaan mein kia
Aa raha hay meray gumaan mein kia

Dil kay aatay hein jisko dhiyaan bohat
Khud bhi aata hay apnay dhiyaan mein kia

Wo milay to ye poochna hay mujhay
Aab bhi hoon mAin teri amaan mein kia

Yoon jo takta hay aasmaan ko tu
Koi rehta hay aasmaan mein kia


Hay naseem-e-bahaar gard alood
Khaaq urti hay uss maqaan mein kia

Ye mujhay chaein kion nahi parta
Aik hi shaks tha jahaan mein kia.

1 comment:

Naeem Khan said...

Nice Collection Professor sb.I want to share one of my favorite shair by Jon Elia.

Ha yah bazaar jhoot ka bazaar
Phir yahi jinnss kuin na toolain hum
Kar kay aik dussry say aahd-o-wafa
Aao kuch dair jhoot boolain hum.

IRAN’S “TRUE PROMISE” VS. U.S “IRONCLAD SUPPORT”: A FAILURE OF INTERNATIONAL SYSTEM

Mahtab Bashir 0333 53 63 248 mahtabbashir@gmail.com Islamabad Iran strikes Israel on Sunday   Iran's first direct attack on Israeli soi...