Kaheen say koi sada na ayee
Badi wafa say nibhayee tu nay
Hamari thodi si bewafai
Jahaan say tum mor mur ga-ay thay
ye mor ab bhi waheen paray hain
Hum apnay pairoon' may janay kitnay
Bhanwar lapetay huye khaday hain
Badi wafa say nibhai tunay
Hamari thori si bewafai
Kaheen kisi roz yun bhi hota
Hamari halat tumahari hoti
Jo raatein humnay guzareen mar kay
Wo ratein tumnay guzaareen hoteen'
Badi wafa say nibhaeen tunay
Hamari thodi si bewafai
Tumhain ye zidd thi kay hum bulaatay
Humain ye umeed wo pukarein
Hay naam honton' pay ab bhi laikin
Awaaz may par gaeen' dararain
Hazaar rahein mur kay dakheen'
Kaheen say koi sada na ayee
Badi wafa say nibhayee tunay
Hamari thodi si bewafai
Hamari thori si bewafai
It is perhaps the final full-fledged family Reunion, Holiday Inn, Islamabad on 23rd October, 1996
Jo khayaal thay na qayaas thay, wohi log mujhsay bichar gay
Jo mohabbaton' ki asaas thay, wohi log mujhsay bichar gay
Jinhay manta hi nahi ye dil, wohi log hain meray hamsafar
Mujhay har tarah say jo raas thay, wohi log mujhsay bichar gay
Mujhay lamha bhar ki rafaqaton' kay azaab aur satain' gay
Meri umr bhar ki jo piyaas thay, wohi log mujhsay bichar gay
Ye khayaal hain saray aarzi, ye gulaab saray hain kaghazi
Gul-e-arzoo ki jo baas thay, wohi log mujhsay bichar gay
Jinhay kar saka na qabool mein, wo shareeq-e-rah-e-safar huye
Jo meri talab meri aas thay, wohi log mujhsay bichar gay
Meri dharkano' kay qareeb thay, meri chah thay, mera khwaab thay
Wo jo roz-o-shab meray paas thay, wohi log mujhsay bichar gay.
Courtsy: Aitbar Sajid
Guzashta chahato' ka dukh hawa may sarsaraay to
Koi bhoola hua lamha achanak yaad aye to
Tum apnay dil ka weerana bohat abad kar lena
Mujhay tum yad kar lena, mujhay tum yad kar lena
Khayaalo' kay mandero' par koi mashal jalaay to
Bahaaro' ka koi mosam tumhay wapis bulay to
Meri yado' ki khushboo sy wafa ko shaad kar lena
Mujhay tum yad kar lena, mujhay tum yad kar lena.
THE REMNANTS
Maryum is the smallest , 7 years old studying in Pepperdine Schools Network. She is so finicky & I pray to Almighty to give me brain to convince this young lady with all my answers.
Xainab, 10, is the middle sister. Famous for her dialogue delivery. mimicking & making faces. Not to forget, she is an addict to Indian soaps.
Noor a.k.a Guriya is the head of this gang. Studying in 9th class of DPS. She is gullible, thori si pagli, thori siyani.
Rehana, 43, my assertive Bhabhi likes poetry & old Indian songs. She is very nostalgic.
For more ... Please visit the following links
http://mahtabbashir.blogspot.com/2008/05/if-i-could-work-miracles.html
http://mahtabbashir.blogspot.com/2008/04/tere-bina-xindagi-bhi-laikin.html
http://mahtabbashir.blogspot.com/2008/03/my-brother-walking-lexicon-walks-away.html
http://mahtabbashir.blogspot.com/2008/03/most-important-part-of-body-is.html
No comments:
Post a Comment